Parinda
....nadan parinda....suna hoga gungunaya hoga....kabhi khudko samjha hoga....hota hai...sab ke sath hota hai.... Roz subha jagta hai....suraj ki pehli kiran se pehle...uche asman me udd jata...nahi pata hota use kaha ja raha hai kya karega..aaj ka din kaise jiyega...lekin udna hi uska naseeb hai isiliye uda jata hai...kabhi nadiya,kadhi pahad langta hai.. Hamesha sochta hai aaj kuch nayahoga,,pankho ke neeche se hawa ke sar sarahat,,,dur jaata hua ghar..mazeel ka pata nahi,,bas uda ja raha hai... Din ke kisi kone me koi manzar aata hai..aur wo khudko rok nahi pata hai...aasra leta hai kisi darakht ka...sochta hai baith kar maine kya khoya kya paya...mere apne kaha hai hai..mere dost kaha hai...jawab dhoodhta hai....lekin sawal se aage nahi badh pata hai...wo manjar wahi ka wahi tham jata hai... Subh nikla hua wo nadan parinda..bas parinda hi reh jata hai...kya khub kah a hai ghalib ne... "hazaro khwahishein aisi ke har khwaish pe dam nikle...bahut nikle mere arman le...